Hathras mein Vinyl aur Sticker Printing
Product ke sticker, offer ki jaankari, shishe ya board par branding, vinyl se ye sab kaam hota hai. Apna size, design aur jahan lagana hai wo batayein, hum aapko sahi option aur rate bata denge.
Kin kaamon ke liye
- Dukaan ke shishe (glass) par branding
- Product ke sticker aur label
- Board aur surface par vinyl
- Offer aur information ke sticker
Quote ke liye ye batayein
- Size aur quantity
- Design ya logo
- Kis surface par lagana hai (shishe, board, deewar)
- Andar ya bahar lagana hai
Is kaam ka quote chahiye?
Size, quantity aur design batayein. Hum aapko rate aur options bata denge.
Free Quote maangein
Aksar poochhe jaane wale sawal
Kaun si surface par vinyl lag sakta hai?
Alag surface ke liye alag material chalta hai. Jahan lagana hai wo batayein, hum aapko sahi option bata denge.
Quote kaise milega?
WhatsApp ya call par Vinyl aur Sticker ka size, quantity aur design ki jaankari bhejiye. Aap website ka quote form bhi bhar sakte hain, hum aapko call karenge.
Design aap banate hain ya hum dein?
Dono tareeke chalte hain. Aap ready design de sakte hain, ya hum aapke liye design bana sakte hain. Design banwane par design charges alag se lag sakte hain.
Rate fixed hota hai kya?
Rate size, material aur quantity par depend karta hai. Website ke calculator ka rate sirf andaza hai, final rate dukaan par aane par ya order confirm karte waqt tay hota hai.
Aapki dukaan kahan hai?
Purnima Flex Point, Ratan Kunj Colony, Mursan Gate, Punjabi Quarter ke samne, Hathras 204101 (Bohre Wali Devi ke paas).